People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Tera Chaand Chahera
Music: Anu Malik
Lyricist: Shaheen Iqbal
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Tera-Chand-Chehra/QlkY
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
tere is badan ko sajaane ki khaatir
to laakho gulaabo ko joda gaya hai

o tujhe dil ke najdik laane ki
khaatir tere naam se naam joda gaya hai
tere baajuo mein samaane ki khaatir
zamaane ki rasmo ko toda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai

chura to liya hai mere dil ko lekin
ye dar hai kahin tu nazar na chura le
agar tujhko shaq hai mere pyaar par to
meri jaan lekar abhi aazma le
tere lab pe surkhi jagaane ki khaatir
kanval ki rago ko nichoda gaya hai
tujhe dil ke najdik laane ki
khaatir tere naam se naam joda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai

tere haath mein vo lakiren to hongi
jinhen mere dil ka pata yaad hoga
vo dil jo tumhaari vafa ka ho kaayal
use aur duniya mein kya yaad hoga
teri yaad mein sab bhulaane ki khaatir
ye chehra saari duniya se moda gaya hai
tera chaand chehra banaane ki khaatir
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
zamaane ki rasmo ko toda gaya hai
kanval ki rago ko nichoda gaya hai
tumhaari nigaaho ko odha gaya hai
hazaaro sitaaro ko toda gaya hai
Aise Mili Nigaahe
Music: Anu Malik
Lyricist: Rani Malik
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Aisi-Mili-Nigahen/NQAI
ise mili nigahe parde ki oot se
aise mili nigahe parde ki oot se
dil ho gaya ha ighayal aanhko ki chot se
kaise mili nigahe parde ki oot se
kaise mili nigahe parde ki oot se
dil ho gaya hai ghayal aanhko ki chot se

najuk sa ek ishara kya kaam kar gaya
bejan dhadkano me wo jan bhar gaya
tum mano ya an mano mujhe etbar hai
jise chot hamne samjha wohi to pyar hai
sach hai ke ye hamari najro ki bhul hai
fir bhi ye chot dil ko haskar kabul hai
sach hai ke ye hamari najro ki bhul hai
fir bhi ye chot dil ko haskar kabul hai
haskar kabul hai

ye hale dil tumhe mai kaise karu baya
bilkul nayi hai dunia ham aa gaye jaha
is chot ka hua hai dekho kya asar
betab hai tamanna bechain hai najar
aye jakham dene wale de do tumhi dawa
marhum laga do ispe ab apne pyar ka
aye jakham dene wale de do tumhi dawa
marhum laga do ispe ab apne pyar ka
ab apne pyar ka
kitna hai khubsurat chahat ka ye sitam
dekho yahi dua hai ab dard ye na ho kam
Tuhi Meri Manzil
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Tu-Hi-Meri-Manzil/GCct
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai dunia se kya wasta
tere mere bich ab aaye na jamana
na jana na jana chhod ke tu na jana
na jana na jana chhod ke tu na jana

tuhi meri heer hai tu meri takdir hai
janmo se jo dil me thi tu wohi taswir hai
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana

din roshan hai rat hasi hai aasu kya the yad nahi hai
phul khile phir pyase dil ke tu aaya hai sawan banke
ninde gum ki hum kya soye din katte the rote rote
kaise din the kya mausam the jitni sanse utne gum the
jitne tare aankh se tute utne khile hai ab gulbute
bhul gayi ab mai apna dard purana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai dunia se kya wasta
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana

dil hai mera tera thikana sans me aana sans me jana
chahat ke sab moti chunkar rakh dunga main in kadmo par
chand sajake in balo me rang bhar dunga in galo me
chahe so so bar maruga fir bhi tujhko pyar karunga
chum lu tujhko aaja humdum
jakham pe rakh du pyar ka marhum
kadmo pe rakh du sara jamana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai duniya se kya wasta
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana